Pinterest se blog par traffic kaise laye full jankari?
Hallo, dosto aaj ki post me mai aapko batane wala hoo ki pinterest se blog par traffic kaise laye aksar ham apna blog to create kar lete hai lekin yaha sabse badi jo problem hoti hai ki apne blog par traffic kaha se laya jaye. kyonki shuruaat me hamare blog par traffic bahut kam aata hai jisse hamare blog ki post search engine me fast page pe rank nahi kar pata hai. aise me hame apne blog par traffic lana bahut jaroori hota hai. Of my to dosto inhi baaton ko dhyan rakhte huye pinterest se blog par traffic kaise laye ke bare me ham aapko batane wale hai taaki aap apne blog par jyada se jyada traffic la sake.
![]() |
Pinterest se blog par traffic kaise laye |
Sabse pahle jin logon ko pinterest ke baare me nahi pta to mai unse batana chahunga ki pinterest ek American social networking site's hai. ye bhi instagram ke tarah photo sharing website sur application hai isme bhi photo, GIF, share kiya jata hai jise ham pin kahte hai.
Pinterest se blog par traffic kaise laye?
Shuruaat me pinterest se blog par traffic lane ke liye aapke paas pinterest ka ek account hona chahiye tabhi aap pinterest se apne blog par traffic la payenge. agar aapka pinterest account bana nahi hai to bana lijiye pinterest par account banana bahut hi asaan hai.
Ye bhi padhe👇👇
- Blog meaning in hindi - blog ki jankari
- Blog post ko google ke top page par kaise laye
- Privacy policy page kaise banaye blog ke liye
- Blog ke liye copyright free image kaise download kare
Account banane ke baad sabse pahle apna account upgrade me badalna hota hai. jo ki ek business account hota hai. iske liye aapko apne pinterest profile par click karna hoga uske baad upar right me bane icon par click kar upgrade now par click karke aap apne pinterest account ko business account me badal sakte hai.
ye saari settings karne ke baad aapka pinterest business account to ban jata hai lekin ab jo baat aati hai ki pinterest se blog par traffic kaise laye iske liye sabse pahle aapko ek board create karna hota hai. blogger me jaise post ka lebel hota hai thik usi tarah pinterest me board hota hai board create karne ke liye sabse pahle neeche +create par click karna hai uske baad board par click karke apna board naam select karna hai aur create par click kar dena hai.
Itna karne ke baad board create ho jata hai ab aapko ek pin create karna hai jisme aapko image aur apne blog post ka url save karna hota hai iske liye aap neeche +create par click karke pin par click kar dena hai. uske baad aapne post se related ek image select karke next par click karde.
next par click ke baad uper apne pin ka title dalkar ek chhota sa description likhna hai aur neeche add par click karke apne post ka URL dalkar next par click karde. uske baad aapne jo bhi board create kiya hai uspar tap karde.
Board par tap karte hi aapka pin yani ki article save ho jayega ab pinterest me log aapke pin ko dekhenge aur visit karke pinterest se waya hokar aapke blog par log jayenge jisse aapke blog ka traffic increase hoga isse aapke blog post ke seo me bhi bahut benefits milega aur pinterest me sabse achchhi baat ye hai ki yaha par aapke followers hajaro me bhi hai lekin viewers million me aate hai jisme se kuchh log bhi visit karke aapke blog par jayenge fir bhi aapke blog ka traffic jyada se jyada increase hoga.
To dosto is post me hamne aapko pinterest se blog par traffic kaise laye ke baare me bataya jise follow karke aap apne blog par jyada se jyada traffic la sakte hain.
Ummeed karta hoo dosto aap achchhe se samajh gaye honge ki pinterest se blog par traffic kaise laye yadi phir bhi aapka koi swal hai to tippadi karke hamse se poonchh sakte hai.
please do not enter any spam link in the comment box ConversionConversion EmoticonEmoticon