Dosto organic search me safal hone ke liye un cheezo ki jaroorat padti hai jise search engine महत्वपूर्ण mante hai jaise, ki On page SEO aur off page SEO pichhale in varsho me logo ne off page seo jaise, link bilding aur anya technology tatvo par dhyan diya hai.
![]() |
On page seo kaise kare |
Jabki baat yah hai ki yadi aap on page seo par dhyan nahi dete to post ko rank krane me off page seo bahut achha nahi hota. smart seo digital marketar ko pata hai ki one page optimization ko lagatar dhyan dena chahiye.
Kyonki search paridrishy lagatar badal raha hai.
Isliye yah pata lagana jaroori hai ki aapka on page seo gyan sahi hai. aapke inhi baton ko dhyan rakhte huye is post me ham ye btayenge ki on page seo kya hai, on page seo ke vicharon me se 10 tips chaliye vistar roop se samajhte hai.
On-page SEO kya hai:
On-page SEO (jise ki On-site SEO ke roop me bhi mana jana hai) jo ek website ko search engine me rank krane aur organic traffic prapt karne ke liye web pages ko sahi se optimize kiya jata hai.
ये भी पढ़े : SEO kya hai aur kaise kare.
High quality content likhne ke alawa on-page SEO me titel, meta description, HTML tag, URL, aur image ko customized karna shamil hai. iska matlab yah bhi hai ki aapki website high level ki speciality, authority aur bharose mandta hai.
Yah aapke web pages ke har vibhinn pahaluon ko dhyaan me rakhta hai jo ek shath jode jane par search results me aapki website ki visibility me sudhar karta hai. chaliye ab jante hai ki on page seo kyon jaroori hai.
On-page SEO kyon jaroori hai:
On-page SEO jaroori hai kyonki ye search engines ko aapki website aur uski contents ko samajhne me madad karta hai. iske alawa on-pages SEO hi ek aisa jariya jo aapki post ke search engine me fast page par rank kara sakti hai.
website par on-page SEO karne se aapki web pages to rank karta hi hai sath hi jyada matra me traffic bhi increase hota hai. aur upyog karta aapke contents ko jyada der tak padhta bhi hai jisse aapki earning aur website ki popularity badti hai.
On-page SEO kaise kare:
On-page seo blog, website ke liye bahut important parts hai. inme wo sabhi on-site techniques shamil hai jinhe ki aap laagu kar sakte hai. apne web pages me jisse ki wo search engine me top par rank kare.
waise to on-page seo tutorials ke bahut saare alag alag prakar se optimize kiya jata hai jinme ye 10 bahut jaroori hai.
- Keyword research kare
- Quality content likhe
- Internal linking kare
- Content ke beech beech me main keyword use kare
- Meta description ka use kare
- Sahi category me post kare
- Url me main keyword use kare
- Loading speed fast rakhe
- Heading tag ka sahi use kare
- Image optimize kare
Ye 10 tarike on-page seo ke liye bahut jyada mayine rakhti chaliye ek ek ko details me samajhte hai.
1.Keyword research
- Halanki keyword research on page seo me shamil nahi hota. Lekin keyword research ko hamne pahle number par isliye rakha kyonki jab aapko pata hi nahi hoga ye ek achchha keyword hai to aapka post search engine me kaise rank karega
- Isliye aap article likhne se pahle keyword research jaroor karle aise bahut se paid aur free tool aapko mil jayenge jaha se aap keyword research kar sakte hai. dhyan rahe aap unhi keyword ko chune jinka competition low aur monthly search jyada ho.
2. Quality content likhe
- Yaha par mai aapko ek baat kiliyar kardu ki ek post ko rank krane me aapka content king hota hai iske bagair aap kitna bhi on page aur off page seo karle lekin aapka post search engine me top page par rank nahi karne wala
- Isliye quality content likhe jiska matlab hai aap kahi se copy paste na kare aur point to point details ke saath content likhe jiska length minimum 1500 se 2000 ka hona chahiye.
3.Internal linking
- Internal linking on page seo ka sabse aaham hissa hai isliye apko hamesha internal linking hoga internal linking se karne se aapka content strong ban jata hai aur search engine ise like bhi bahut karta hai
- Isliye aapko ek dusre post ko link karna hai jaise example ke liye aapne article likha hallo app se paise kaise kamaye to aap kya karoge apne website ke usi category ka jaise ki rozdhan app se paise kaise kamare, ka article ek dusre se link kar dena hai isse fayda ye hoga ki aapka koi article rank kar jata hai user us article ko padte padte dure article pai visit karke chala jayega.
4.content ke beech beech me mai keyword
- Article likhte samay beech beech me apna main keyword dalne ki koshish kare ye on page seo ke liye bahut jaroori hai poore article me lagbhag 1% apna main keyword dale example ke liye aapne 1000 word koi article likha to usme 10 main keyword dalne ki koshish kare
- Lekin ek baat dhyan rakhe aisi jagah apna keyword daale jisse ki aapke visitors ko article read karne me achha experience ho.
5. Meta description
- Meta description ka use karna jaroori hai ye on page seo ke liye bahut upyogi hai kyonki isko search engine results me dikhata hai aur isse apko (click through rate) bhi badh sakta hai isliye aap meta discription ka jaroor use kare
- Agar aapki website blogger par to settings se meta description ko enable kar sakte hai isme apne post ke baare me likh sakte hai jiska length maximum 150 word rakhe jisme apna main keyword 2 baar add kare.
6. Sahi catagory
- Sahi category select karna bhi on page seo ke liye bahut jaroori hai isliye aap apne article ke liye sahi category yani label chune example ke liye aapne ek article likha on page seo kaise kare to uska category SEO hona chahiye ye on page seo ke liye bahut mayine rakhti hai isliye aap sahi category jaroor select kare.
7. Url me keyword
- Url me aapke post ka main keyword dalna bahut jaroori hai hai ye ek post ko rank karane me bahut jyada mayine rakhti hai aur ye on page seo ka bahut important hissa hai isliye aap url me apna main keyword jaroor use kare koshish kare ki aapka url jyada lamba na ho kyonki search engine ise jyada lambe url ko like nahi karta.
- isliye aap apne url me chhota rakhe example ke liye aapne article likha on page seo kaise kare to aap apne url me sirf on page seo use karoge.
8. Loading speed
- Waise to loading speed on page seo me nahi aata on site seo me aata lekin hame continue loading speed par dhyan dena chahiye
- Kyonki kai baar kya hota hai user aapke post par visit to lekin aapka post loading hone me time lag jata hai isse user aapka website close karke dusre website par chala jata hai jisse google ki najar me aapka post bounce back hone lagta hai
- Isliye aap hamesha apne blog, website post ka loading speed fast rakhe internet par aise bahut se website mil jayenge jaha se aap apne website ka loading speed check kar sakte hai aur pata laga sakte hai ki aapke website ka loading speed slow kyu hai jise aap thik karke apne website ka loading speed fast kar sakte hai.
9. Heading tag
- Hamare paas H1 se H6 tak heading tag hota hai jisko aap apne me proper tarike se use kare ye on page seo me bahut jyada mayine rakhti hai
- H1 tag aap apne post ki titel me use kare aur kisi ke liye nahi poore article me sirf ek hi H1 tag rakhe
- Baki ke H2 aur H3 aap post ke beech beech me sub heading ka use kare jo H1 tag ke neeche aata hai
- Aur aap chahe to baki ke H4 se H6 tak tags chhod sakte hai kyonki ye sidebars me widgets ke heading ke liye use hote hai aur search engine iski koi value nahi rakhta.
10. Image optimized
- Agar aap image ka use nahi karte to jaroor apne article me image ka use kare kyonki kai baar kya hota hai ki user google me sirf image hi search karta hai jisme agar aapka image rank kar jata hai to user waha se visit karke aapke website tak aata jisse aapki traffic badhta hai
- Isliye aap image ka use kare aur sahi se optimize kare optimize karne ka matlab hai ki image ke rename me apna main keyword dale thik aise hi properties aur add captain me bhi apna main keyword dalna hai jisse ki aapka image optimize ho jata hai.
To dosto ye wo 10 tips jo on page seo ke liye bahut jaroori hai isliye aap in tips ko jaroor aajmaye ummeed karta hoo dosto aap achchhe se samajh gaye honge ki apne blog ya website ki on-page SEO kaise kare yadi firbhi aapka koi sawal hai to hame tippadi jaroor kare.
please do not enter any spam link in the comment box ConversionConversion EmoticonEmoticon