mobile se video editing karne ke 5 best application?

Mobile se video editing karne ke liye 5 best application:-hallo, dosto is post me aapka swagat hai. dosto agar aapke paas computer ya laptop nahi hai aur aap apne android mobile se youtube ya kisi aur platform ke liye videos editing karna chahte hai. to mai aapko bata doo ki jin 5 application ke baare me mai aapko batane wala hoo unme se koi na koi application jaroor aapke liye best saabit hone wala hai.

Mobile se video editing karne ke liye 5 best application
Mobile se video edit karne ke 5 best app

Kyonki yaha par mai aapko un application ke baare me  batane ja raha hoo. jo sabse best aur popular hai aur videos ko har tarah se editing kar sake jaise  video ka background change karna, 2,3 video ko ek sath jodna aur video par text lagane jaise anya features moujood ho. jisse ki video ko edit karne me koi pareshani na ho. to chaliye un 5 application ke baare me jaan lete hai jisse achchhe se video editing kiya ja sake.

Mobile se video editing karne ke liye 5 best application?


Sabse pahle yaha par mai aapko bata doo ki jin 5 application ke baare me mai aapko batane ja raha hoo unme paid aur free dono version hoga aur jenvan tarike se kaam karega.

1.Power director app:


Power director ko hamne sabse pahle number pe isliye rakha hai kyonki ye videos editing ko lekar sabse jyada istemal me layi jaane wali application hai. agar aap ek youtuber hai aur aap apne videos ko mobile se editing karna chahte hai to aapke liye power director best rahega. isme aapko paid aur free dono version mil jata hai. paid version se aapke video me watermark nahi show hoga jabki free version me aapke video me power director ka watermark show hoga.

Isme aapko videos ka background change karna, video me text lagane jaise bahut saare suvidhaye mil jayenge jo ek professional video edit karne ke liye hona chahiye. Is app ko download karne ke liye click kare. Click kare

2.Kine master app:


Agar aapko videos editing me thoda sa bhi jaankari hai to aapne kine master ka naam  jaroor suna hoga kyonki kine master bhi wo application hai jo video editing me sabse jyada istemal kiye jane walo me se hai. ye power director ki tarah hi kaam karta hai. isme bhi dono version hai. free version me aapke video me kinemaster ka watermark show hoga wahi paid version me watermark nahi show hoga.

isme aapko har feature dekhne ko mil jayenge. jaise  ki videos ka background change karna, videos speed slow fast karna, video me text lagana aur video ki cutting karne jaise saare suvidhaye aapko mil jayenge jo ek videos editor ke paas hona chahiye. agar aap youtube ke liye ya kisi anya platform ke liye video ko edit karna chahte hai to is app ko jaroor download kare.
Is app ko download karne ke liye click kare. Click kare

3.FilmoraGo app:


mobile se apne videos ko editing karna chahte hai to filmoraGo bhi aapke liye best application sabit ho sakta hai. video editing karne ke liye is app ko kaafi jyada matra me log istemal kar rahe hai. ye bhi ek dam jenvan tarike se kaam karta hai. Isme bhi paid aur free version mil jata hai. is app ko paid version lena hi aapke liye best rahega kyonki free version me edited video me filmoraGo ka watermark dikhaee dega aur bahut saare sticker, color aur bhi kai cheezo ka istemal nahi kar payenge.

Jabki wahi paid version me aap har features ka istemal kar payenge jaise  video ka background change karna, video me text lagane jaise saare features ka istemal kar sakte hai jo ek video editing karne me jaroorat padti hai. Is app ko download karne ke liye click kare. Click kare

4.Androvid app:


Agar aap video editing seekhna chahte ho ya kisi platform ke liye videos ko edit karna chahte ho to androvid app ki madad se bahut hi asani ke saath edit kar sakte hai. yah ek simple sa app hai video editing ko lekar lagbhag 1 crore log is app ko download bhi kar chuke hai. isme paid aur free dono version hai. agar aap chahte hai ki aapke videos me androvid ka watermark na show kare to aap iska paid version purchase kar sakte hai. nahi to aap watermark ke saath free version ka bhi istemaal kar sakte hai.

Isme bhi aapko har tarah ke features mil jayenge jaise video me text lagana, sticker lagana, video ko filter karne jaise saare features mil jayenge jo aap videos ki editing karne me istemal kar sakte hai. Is app ko download karne ke liye click kare. Click kare

5.Action director app:


Video ki editing karne me action director bhi kaafi aage hai. ye uper btaye gaye power director ka hi application hai. is app ko bhi adhik se adhik matra me log istemal kar rahe hai isme aapko paid aur free dono version mil jayenge. free version me aapke edited video me action director ka watermark show hoga wahi paid version me watermark nahi show hoga.

baat kare isme video editing features ki to isme har wo features mil jayenge jo ek video edit karne me jaroorat hoti hai jaise ki video ka background change karna, text lgana, sticker lagane jaise saari suvidhaye available hai.  Is app ko download karne ke liye click kare. Click kare

Dosto ye hai wo 5 application jise video editing me adhik se adhik matra me log istemal karte hai. agar aap ek youtuber ho to in application ko jaroor tarai kare.





Previous
Next Post »

2 Comments

Click here for Comments

please do not enter any spam link in the comment box ConversionConversion EmoticonEmoticon