Blog website ke liye 5 best free keyword research tools. Tech-vanshi

Keyword research karne ke 5 best tools:-

Hallo, dosto kaise ho aap log mujhe ummed hai ki aaplog achchhe honge dosto kya aapka bhi hai koi blog ya website aur aap jaanna chahte hai ki  keyword research kya hai aur keyword research karne ke kya fayde hai ya fir wo kounse tools hai jisse free me keyword nikal sakte hai blog website ke liye to dosto aapke isi sawalo ke jawab is post ke jariye aapko dene ki koshish krenge. Chahiye vistaar roop se jaante hai.

1. Keyword research kya hai.


 Dosto simple bhasha me kahu to keyword research ek aisi proses hai jisme hame pta lagana hota hai ki koun se keyword log jyada search kar rahe hai aur us keyword ka cpc aur competition kitna hai. keyword research  dwara khoje gaye keyword par rank karne ki sambhavana bad jaati hai aur search injan me achhi position pa sakte hai. apne blog website me jyada se jyada traffic la sakte hai.

2.keyword research ke kya kya fayde hote hai


 Waise Dekha jaye to keyword research hamare blog website ke liye kaafi helpful hai ye hamare blog website ke rainking ke liye bahut jaroori hota hai.

Jaise ki:-

  • Keyword research karke article likhkar publish karne se post search injan me jaldi intex ho jata hai.
  • Keyword research se blog website ke liye content likhne ke idia (topic) milta hai.
  • Keyword research se aapke blog ki popularity badti hai.
  • Aapki blog website ranking aur traffic ko badane me madad karta hai.
  • Jitne aapke pose rank honge aapki domain authority badegi saath me backlink ki sankhya bhi badegi.

3.keyword research ke liye 5 best free tools:-


Dosto waise to internet par aapko bahut se pad tools mil jayenge jo aapko keyword research karne ko deti hai. Lekin yaha par is post me mai aapko 5 free tools ke baare me btaunga jisse aap free me keyword research kar sakenge aur search volume, cpc, aur competition ka pta laga sakte hai. To chaliye jaan lete hai ki wo koun se 5 tools hai aur kaise work karte hai.

1.ubersuggest


Neil patel ke dwara banayi gayi ubersuggest tool kaafi achchha aur popular keyword research tool mana jata hai ye tool aapko free me keyword research karne ka mouka deti hai is tool ki madad se aapko search volume, cpc, aur seo difficulty pata chal jayega dhyan rahe ki seo difficulty 20 se kam ho usi keyword ko target kre iske saath hi isme kisi bhi website ka url dalke uska backlink. aur keyword idea nikal sakte hai. Is site par visit karne ke liye click kare. Click kare

2.keyword finder se


 Dosto Keyword finder bhi kaafi achchha tool hai. Keywordfinder.io dwara banayi gayi ye tool aapko free me keyword research karne ko deti hai. ye aapko ek baar me 400 se bhi jyada keyword research karke deta hai is tool me aapko monthly search, CPC, aur competition ka pata chal jaata hai. Is site par visit karne ke liye click kare. Click kare

3.keyword shitter


Dosto keyword shitter bhi kaafi achchha tool hai is tool ki madad se aap achchhe keyword nikal sakte hai ie tool me ek baar keyword research karne se usse releted saare keyword nikalte rahenge jabtak aap stop sheeting par click nahi kar dete yaha se aapko keyword idia milta hai. Is site par visit karne ke liye click kare. Click kare

4.Answerthepublic


Dosto Answerthepublic bhi keyword research ke liye kaafi achchha tool hai is tool me aap free me keyword research kar sakte ho is tool me ek baar keyword research karne se aapko usse reletad saare keyword mil jayenge jisse aap keyword ka idia laga sakte hai. Is site par visit karne ke liye click kare. Click kare

5.keyword tool


Dosto keyword tool bhi kaafi achchha tool mana jata hai is tool se bhi aap keyword ka idia nikal sakte hai halanki ye tool pad hai jo aapko free me search volume aur competition nahi btayega lekin ek keyword search karne par aapko usse related sare keyword bta dega jisse aap pta laga sakenge ki aapke liye kounsa keyword best hai. Is site par visit karne ke liye click kare. Click kare

To dosto ye the wo 5 tools jisse aap bade hi aasani se keyword research kar sakte hai aur blog ya website me us keyword par kaam kar sakte hai. dosto agar ye jaankari aapke liye helpful tha to is post ko jyada se jyada sheyar kare.














Previous
Next Post »

please do not enter any spam link in the comment box ConversionConversion EmoticonEmoticon