Blog website ka loading speed fast hai ya slow kaise pata kare

Blog website ki loading speed fast hai slow kaise check kare:-

Hallo, dosto aapka bahut bahut swagat hai hamare site par. dosto blog website ka loading speed kaise check kare agar aapke man me ye swaal uthh raha hai. to mai aapko bta doo ki ye post oun blogger ke liye hai jinki blog ya website ki loading speed slow hoti hai.
Blog website ka loading speed fast hai ya slow kaise pata kare
Blog website ka loading speed kaise check kre
Blog website ka loading speed fast hai ya slow kaise pata kareaur na hi aise site search engine me achchha performance de pate. blog website ki loading speed kam hone ki wajah se aise site's ke post bhi search engine ke top page par nahi show ho pate. jiski wajah se blog website par sheyar ki gayi post readar tak nahi pahunch pati. agar koei visitors aapke site tak aa bhi gaya to wo dobara aapke blog website par aana pasand nahi karta.

Isiliye agar aap ek blogger hai. aur aap chahe kisi bhi platform par apni site create karke manage kar rahe ho. To aise me apni blog website ki loading speed fast rakhna chahiye. jisse readers aur search engine ko aapki site read karne me koi pareshani na ho. waise to internet par bahut saari website available hai. jo aapki blog website ka speed check karke batati hai. Lekin inme se kai website fack bhi hoti hai jo aapke site ke loading speed galat btati hai.

Aise me GTmetrix blog aur website ki loading speed check karne ki sabse best site mana jata hai. Is site par ham apne blog website ke url ko enter karke jaan sakte hai ki hamare site ki loading speed ki kitna slow aur kitna fast hai.

Agar aap apni blog website ka loading check karne ke baare me nahi jante to article ko poora pade. Ab ham janenge ki GTmetrix se kaise pta kare ki blog website ka loading speed slow hai ya fast kaise pta kare.

GTmetrix se blog or website ki loading speed kaise check kare:-


GTmetrix kisi bhi blog website ka loading speed check karne ka sabse best tareeka hai. ye baki aur site to se achchha result deta hai. is site par apna loading speed check karne ke liye sabse pahle GTmetrix par chale jaye. GTmetrix Site par jaate hi homepage par ek box show ho hoga.
  1. Ab aap 1 step me apne blog website ka url enter kare.
  2. Uske baad 2 step me test your site par click kare. Click ke baad apki site scan ki jayegi, jisme 1-2 minute ka time lag sakta hai.
Scanning complete ho jaane ke baad aapko blog or website ki speed loading ki saari details show hogi. Latest performance riport ko dekh ke ham jaan sakte hai ki hamare blog website ka speed loading slow hai ya fast iske saath hi ham gtmetrix se ye bhi jaan sakte hai hamari website ki loading speed slow kyun hai. aur kin kin mistakes ke kaaran hamari site ka loading speed slow hai.

Ye jankar aap apne blog website ke kamiyo ko door kar speed loading ko fast kar sakte hai. jiske baad hamari site ko search engine pasand karega. aur apki site ke post search engine me show karega jisse aapke site par traffic badega.

Dosto mujhe ummeed hai ki aap blog or website ka speed loading check karna samajh gaye honge. fir bhi aapka koi sujhav hai to hame tippadi kare.















Previous
Next Post »

please do not enter any spam link in the comment box ConversionConversion EmoticonEmoticon