Mobile me IMEI number kya hota hai aur kaise pata kare?

IMEI number kya hota hai aur kaise pata kare:


Hallo, dosto aapka bahut bahut swagat hai hmari site par dosto agar aap ek phone yoozars hai. to aapke man me ye swal jaroor aaya hoga ki IMEI number kya hota hai to dosto aaj ki is post me mai aapko btaunga ki mobile me IMEI number kya hota hai aur IMEI number kaise pata karte hai ya fir IMEI number se kya fayde hai. aapke inhi swalo ke jawab dene ki koshish karoonga chaliye jaan lete hai ki IMEI number kya hota hai.
Mobile me IMEI number kya hota hai?
IMEI number kya hota hai

IMEI number kya hota hai:

Dosto IMEI ka full form ka matlab hai intarnational mobile Equipment Identity. yaani ki mobile device ki pahchan ke liye yah ek pahchan sankhya hoti hai. Gsm, cdma aur iden aur kuchh setelite phon me ye sankhya milti hai. Ye sankhya 15 anko ki hoti hai. kabhi kabhi ye 16 aur 17 anko ki bhi hoti hai. ye number har mobile ka alag alag hota hai. Jisse mobile me jo bhi upkaran hai. uski pahchan is number se ki jaati hai.

IMEI number ke kya fayde hai:

Mobile device ke liye imei number ke bahut fayde hai iski madad se ham bahut kuchh kar sakte hai.

Jaise ki:

  • Aap ka mobile phone chori ho jaye to IMEI number ki madad se pata lagaya ja sakta hai ki aapka phone kaha hai.
  • IMEI number ki madad se ye pta lagaya ja sakta hai yoojars koun sa sms chala raha hai aur uska number kya hai.
  • IMEI number ki madad se phone ko trak kiya ja sakta hai.
  • IMEI number ki madad se phon ka location pta kar sakte hai.

IMEI number kaise pata kare:

Dosto waise to IMEI number check karne ke bahut se tareeke hai aap apne mobile ke setting ke about phone me jaake IMEI number check kar sakte hai lekin yaha par mai aapko simple tareeka btaunga jisse aap asani se IMEI number check kar sakte hai. IMEI number check karne ke liye apne phone me dayal kare *0#6# dayal karte hi apke mobile screen par 15 digit ka number show hoga ye number IMEI number hota hai aur ye unick number hota hai kabhi kabhi ye number 16 aur 17 bhi hota hai.

To dosto hamne apko btaya ki IMEI number kya hota hai aur IMEI number kaise check karte hai dost agar aapne is post se kuchh seekha hai to sheyar karna na bhoole yadi aapka koi sujhav hai to hame tippadi kare.



Previous
Next Post »

please do not enter any spam link in the comment box ConversionConversion EmoticonEmoticon