Bhoolkar bhi google par ye 5 cheeje search na kare nhi to ho sakta hai badi problem:
Google par ye 5 cheeje search na kare |
Google par bhoolkar bhi ye 5 cheeje search na kare:
Dosto duniya me bahut saari cheeje aise bhi hoti hai jo hume google par search nahi karna chahiye jinme se 5 important cheeje mai aapko btaunga jo google par kabhi nahi search karna chahiye to dosto chaliye jaan lete hai ki wo koun koun se 5 cheeje google par hume kabhi nahi search karna chahiye.
1.Anything criminal
Dosto anything criminal yani ki apraadh se sambandhit koi bhi jankari google par nahi search karna chahiye iska matlab bandook kaise banaye ya bomb kaise banaye google par nahi search karna chahiye kyonki dosto cyber cell ki nagar un logon par rahti hai jo aise keyword google par baar baar search karte hai to dosto google par criminal sambandhit keyword nahi search karna chahiye isse bahut bada problem ho sakta hai.
2.bimari ka ilaaj
Dosto aajkal ke log jyada smart banne ki koshish karte unko bimari hone par doctor ke pass jane ke bjaye khud hi google par apni bimari ka ilaaj dhoondh ne lagte hai mana ki google har marz ki dwa hai lekin jaha kuchh website medical professionals dwara banayi jaati hai. wahi kuchh article me ilaaj neem hakeem bhi hota hai jo aapko nuksan dayak ho sakta hai.
3.product ki jankari
Dosto google ke pass aapke history ka poora deta hota hai isiliye kisi bhi product ki jankari google par baar baar search karne se search ka deta third party ko transfer kar diya jata hai jisse lagatar us products se sambandhit ads aane lagte hai. agar aap chahte hai ki aise ads na aaye to search engine par aisi keyword kabhi na search kare.
4.apni personal jankari
Dosto search engine par kabhi bhi apni personal jankari yani ki apni email id nahi search karna chahiye kyonki aisa karne se aapka account aur password khatre me pad sakta hai iske sath hi apna name bhi google par search na kare aisa karne se ulte seedhe paridham a jayenge jisse aap pareshan ho jayenge.
5.hacking
Dosto kabhi bhi search engine par kisi ka mobile hack ya whatsapp hack hacking se related keyword baar baar search karne aapko track kiya ja sakta hai aapke ghar tak police pahunch sakti hai behtar yahi hoga ki kabhi bhi hacking ke bare me search engine par search na kare.
To dosto ye the wo 5 keyword jo bhoolkar bhi search engine par search na kare nahi to aap problem me fas sakte hai mujhe ummid hai dosto aap samajh gaye honge ki google par kya nahi search karna chahiye yadi fir bhi aapka koi sawal hai to hame tippadi kare.
please do not enter any spam link in the comment box ConversionConversion EmoticonEmoticon