Android mobile ko computer ki tarah kaise banaye - Techvanshi

Android mobile ko computer ki tarah kaise banaye:- hallo dosto is post me aapka welcome hai. dosto ajkal computer ka istemaal har koi karna chahta hai lekin ye mahange hone ke karan bahut kam hi log computer ka istemaal kar pate hai. Isiliye dosto aaj ki post me ham batayenge ki mobile ko computer kaise banaye yani ki apne android mobile ke screen ko computer ke screen ki tarah kaise istemaal kare. to dosto inhi swalo ke jawab chaliye behatreen tareeke se samajh lete hai.
Mobile ko computer ki tarah kaise banaye
Mobile ko computer kaise banaye

Android mobile ko computer ki tarah kaise banaye?

Dosto waise to internet par bahut sare tarike hai jinki madad se mobile ke screen ko computer ke screen me kanwort kar sakte hai. lekin yaha par mobile ke screen ko computer screen ki tarah banane ke liye ek android app ka istemaal karenge. Jinki madad se aap apne mobile screen ko computer screen ki tarah bana sakte hai. Iske liye aapko apne mobile par play stor se computer launcher naam ka ek application download karna hoga.
1.app ko open kare.

Download karne ke baad is app open kare. jaise hi is app ko open karoge to automatically aapka
mobile screen computer screen me kanwort  ho jayega. aur aapka phone computer screen jaisa dikhne lagega. jaisa ki neche dekh sakte hai.

2.this pc par click kare.

 Iske baad dosto agar aap apne memory yani ki file manager ko check karna chahte hai to this pc par click karke aap apne mobile ke SD card ko bade hi asani se istemal kar sakte hai.
3.window icon par click kare.

Dosto ab agar aap isme apne mobile ke app ko istemal karna chahte hai to iske liye aap mobile ke neeche left me bane window ke icon par click karke kisi bhi app ko use kar sakte hai ye jaise computer ya laptop me app ko use karne ke liye window dabate hai thik usi tarah mobile me bhi window par dabana hota hai.
4.screen par tap karke rakhe.

Aur aap chahe to iske wallpaper ko bhi change kar sakte hai iske liye aapko apne phone ke screen par tap karke rakhna hoga uske baad aap wallpapers par click karke koi bhi wallpapers select kar sakte hai.

Note:- is methar se aapka mobile original computer ki tarah kaam nahi karega. isse sirf aapke mobile screen ko computer screen ka look milta hai. aur iske sath hi isme computer ke kuchh feature hote hai jisse aapko lagega ki aap ek computer ka istemal kar rahe hai.


please do not enter any spam link in the comment box